Monday, 13 September 2010

Hindi Diwas ke mayne.

Hindi Diwas . Ek aisa din jis din Hindi ko Rashtrabhasha ka darja diya gaya tha . ji haan aaj hi ke din arthat 14 sept. 1949 ko Hindi hamari rashtrabhasha bani thi. Bade utsahit the hum. Ab hamara desh azad tha, hamari apni bhasha thi, hume iske prayog ki poori azadi thi. Magar jis utsah se humne hindi ka prayog shuru kiya wo utsah adhik din tak kayam nahi rah saka. Humne , jinpar hindi ke prachar prasar or vikas ki jimmedari thi , hindi ko apne hi ghar me paraya kar diya . Angrej to Bharat chhodkar chale gaye lekin apne peechhe ANGREJI ko chhod gaye humpar shashan karne ke liye. Aur humne bhi iski gulami khushi khushi swikar kar li. Aaj jaha bhi dekhiye english ko hi pramukhata milti hai. Hindi bolne walon ko hey drishti se dekha jata hai. Hum kisi bhi chhetra me english ke bina safal nahi ho sakte. Jara sochiye , jis desh ki rashtrabhasha hindi ho , waha hindi ka ye haal! Kya hum apni maa ko bhi aisi hi durdasha me chhod sakte hai? Kya hamari mansikta itni gir gayi hai ki hum maa or dai me fark na kar sake?

No comments:

Post a Comment